Kuch points clear nahi the, baad mein samajh aaya
Mujhe training ke dauran kuch cheezein pehle samajh nahi aayi thi, specially jo workflow aur dialer use karne ka tareeka tha. Baad mein, jab main thoda aur experience le chuki thi, tab jaake sab clear hua. Lekin initially thoda unclear tha explanation aur ho sakta tha agar thoda aur detail mein bataya jata, toh bach jata confusion. Mera matlab yeh nahi ki support theek nahi thi, bas unhone jo step-by-step guidance di, woh thodi kam detail mein thi. Shayad main hana miss kar gayi hoon, par overall training acchi thi, bas starting mein thoda aur detailed explain hona chahiye tha kisi cheez ka.