Kabhi samajh nahi aaya ki kya karna hai
Maine training ki shuruat ki aur socha ki setup jaldi ho jayega. Par sab kuch complicated tha, jo batate the woh kuch bhi kaam ka nahi lagta. Ek baar mujhe laga ki main thoda ready ho gayi hoon, par baad mein samjha ki yeh sirf ek baar ka tha, baki sab repeatedly karna padega. Bar bar wahi steps karni padti hain, samay barbaad hua. Onboarding process mein guidance bhi thodi confusing thi, isliye main frustrated ho gayi thi. Dialer aur database ka use karna itna asaan nahi tha jitna bataya gaya tha. Support se baat karne par bhi clear jawab nahi mila. Overall, shuru se hi lag raha tha ki yeh mere liye nahi hai, jo samjhana chahiye tha main woh nahi samajh paayi thi.