training thodi complicated hai beginners ke liye
Jo training aur onboarding mila usme achha content tha, lekin mujhe lagta hai ki ye sab beginners ke liye zyada simple nahi hai. Jo log already thodi knowledge rakhte hain remote workflow tools ke bare mein, unke liye ye training sahi hai, kyunki wo quickly samajh jayenge steps aur dialer use karna. Par jo bilkul naya hai is field mein, unke liye shayad ek extra help ya follow-up training ki zarurat padegi. Software ke update automatically aate hain, jo accha hai, aur support call kar par milta hai, par elaborate explanations thodi kam hoti hain. Overall, ye training unhi ke liye fit hai jinko thodi pehle se idea ho workflows ke bare mein.