Samajh tab hi aaya jab main khud explore kiya
Jab main WFHI ke software ke baare mein initially soch rahi thi, toh mujhe laga ki sales team detail mein bata degi sab. Lekin jab contact kiya toh unhone bahut basic se hi baat ki, jisse mujhe khud se hi kaafi cheezein figure out karni padi. Training thodi thi par woh bhi poora nahi samjhayi, toh mujhe kaafi confusion tha ki software ke features kaise kaam karenge. Sign-up ke process mein bhi kuch cheezein clear nahi thi, maine khud check kiya ki dialer system normal call workflow ko pura cover karta hai ya nahi. Database integration me bhi thoda struggle tha, kyunki compatibility ke baare mein pata karna mujhe hi tha. Jab tak main manual se understand kar rahi thi, tab tak kaafi time lag gaya aur frustration bhi hua. Us moment se mujhe samajh aaya ki yeh sab customers ko directly explain nahi kiya jata, hume khud hi seekhna padta hai kaafi had tak, bhale hi software mein options hon.