Training thi thodi alag magar response achha tha
Jab maine WFHI ki training join ki, toh socha tha ki shayad usual tarah ki training milegi jahan bas basics hi cover hote hain. Lekin wahan mujhe ek different experience mila jo thoda zyada detailed aur samajhdari se design ki gayi thi. Pehle toh mujhe laga ki thoda complex hoga aur shayad main confuse ho jaunga, par jo trainers the unhone har topic ko clearly samjhaaya aur questions ke jawab derhe, jo maine expect nahi kiya tha. Training ke dauran, calling tools aur database ke bare mein jo explanations diye, woh mere pehle wale experiences ke mukable kaafi organised lage. Kuch points pe thoda zyada time laga jo mera patience thoda test karta raha, par mujhe laga ki ye potential issues ko rokne ke liye jaruri tha. Onboarding process ke during jab automatic updates ke baare mein bataya gaya, toh woh feature mujhe kafi madadgar laga. Support team bhi kaafi accessible thi, unhone mujhe help kiya jab bhi zarurat padi. Overall, main feel karta hoon ki shuruat mein thodi der lag jati thi lekin unke response kaafi better tha mere pehle experiences se.