Training simple thi but more explaination chahiye thi kuch jagah
Jo training aur onboarding tha usmein kaafi cheezein clear thi, par mujhe laga kuch steps ke liye zyada practical examples ya instructions chahiye thi. Software ka interface accha tha, aur database feature ka use karne mein koi badi dikat nahi thi, lekin dialer ko sahi se set karne mein thoda confusion hua. Support se contact kiya toh unhone help ki, par mujhe zyada self-explanatory content chahiye tha taaki har choti detail samajh mein aaye bina baar-baar support ke. Baki cheezein theek thi, training ne kaam chalane ke liye zaroori guidance di thi bas thoda aur detail mein hote toh aur achha hota.