training se kuch zyada meri expectations cross kar gayi
Mujhe shuru mein laga tha ki training bas thodi si basic hi hogi aur jo cheezein main pehle dekhi thi unke level tak hi rahegi, par ye training team to kaafi responsive thi, matlab jitna main poochti thi utna jaldi reply mila. Sign-up ke baad onboarding flow itna smooth tha ki mujhe lagta tha, yeh sab process itni jaldi aur achhi kaise ho sakti hai. Dialer aur database tools ko use karna bhi easy tha, koi zyada dikat nahi aayi. Aur jo main sochti thi ki mujhe bahut zyda wait karna padega ya follow-up karna padega, wo nahi hua. Support wale log har baar jab bhi contact kiya to theek se help kar rahe the. Mujhe aisa laga ki training aur onboarding dono mein ziada hard work karne ke bajay main araam se kaam shuru kar sakti hoon, jo mere liye ek badi baat hai honestly.