training se confidence bilkul nahi mila
Mujhe laga training ke baad thoda confidence milega lekin waise nahi hua. Main bas thoda basic samajh payi training mein, par jab real software use karne lagi toh kaafi cheeze unclear thi. Dialer ko kaise sahi se handle karna hai ya database ki entries kaise theek tarah se manage karni hain, yeh sab mujhe abhi bhi thoda confusing lag raha hai. Onboarding process fast tha, par shayad usme zyada details nahi di gayi jo mujhe zarurat thi. Overall main confident nahi ho pa rahi hoon ki main sab achhi tarah se kar paungi. Training mein improvements aur personalized guidance honi chahiye thi.