Training mein wait zyada tha par chize kaam ki thi
Training aur onboarding ke dauran main ne dekha ki kai baar mujhe sessions ke beech kaafi waiting time face karni padi aur kaafi baar same cheeze repeat karni padi. Thoda frustrating hota hai jab aapko lagta hai ki jaldi apna kaam start karna hai lekin training schedule hamesha next week mein chala jata hai. Lekin phir bhi jitna training mila usse mujhe software samajhne mein madad mili aur dialer settings samajh paayi. Database handle karna relatively easy lag raha tha after training. Baaki mujhe lagta hai ki thoda aur personalised approach aur kam waiting time ho toh onboarding process aur bhi acha hota.