Training mein sabse helpful jo mila wo database tha
Woh training aur onboarding process jo diya gaya tha, overall easy tha, par kabhi kabhi mujhe lagta tha ki thoda time laga apne liye exact cheez dhundhne mein. Jo onboarding videos thi ya manuals the, wo basic cheezein samjhane mein kaafi theek the, lekin jab main specific features jaise ki database ko le kar gaya toh wahan thoda confusion hua. Lekin ek baar jab main database feature samajh gayi toh lagta tha sabse zyada useful wahi tha. Is feature ke through mera jo contact aur leads ka data hain, usko manage karna kaafi smooth hua, aur woh training mein spacific examples aaye the jo bana ke diya gaya tha. Call dialer thoda tricky tha shuru mein, par last tak thoda familiar ho gayi. Mujhe lagta hai ki onboarding mein thoda time lagna normal hai par database ko samajhna mera clear takeaway tha jo baad mein mera kaam asaan kar diya.