Training mein kuch cheezein surprise kar gayi
Maine pehle dusre remote workflow tools use kiye hain aur mujhe laga tha ki WFHI ka training system bhi un jaisa hi hoga, par thoda alag mila. Training ki content generally achhi thi aur onboarding process systematic tha, lekin kuch cheezein jo mujhe pehle ke tools mein naturally clear hoti thi, yahan unka zikr ya explanation utna thorough nahi tha. Dialer setup aur database management par adhik clarity hona chahiye tha, kyunki mujhe kuch aspects samajhne mein thodi dikkat hui. Telephonic support helpful tha, lekin main expected tha ki training se pehle se zyada technical issues clear ho jayenge. Overall, mujhe laga ki product capable hai aur support available hai, par training ke andar thoda aur detailed aur practical approach dekhni chahiye thi tahki naye users ko zyada laabh mile.