training mein kaafi cheezein surprise kar rahi thi
Training aur onboarding ki process expected se zyada confusing thi. Mujhe laga tha ki main thoda dhyaan se video dekhta hoon aur samajh jaunga, par kai steps mujhe phir bhi samajh nahi aaye. Kuch cheezein repeat ho rahi thi, par main confirm nahi tha ki wo particular step maine sahi se complete kiya ya nahi. Mujhe laga ki next time bhi mujhe kisi ki help leni padegi kyunki process itna straightforward nahi tha. Kuch tools jaise dialer setup karne mein bhi dikkat aayi aur mujhe lagta hai ki training mein wo cheez clear kar deni chahiye thi. Software ka interface thoda overwhelming tha shuru mein, kiun ki woh kadai instructions nahi di thi ki pehle kya karna hai aur uske baad kya. Mujhe help leke hi chalna pada, aur mujhe thoda time laga ki main khud se decide kar paun next steps. Overall mujhe lagta hai ki training ko thoda organize karne ki zarurat hai, warna repetitive questions aur help lena common ho jayega agli baar bhi.