Training main thoda depth nahi tha par accha tha
Pichle kuch mahino se main alag-alag training platforms use kar raha tha, aur jab WFHI ka training liya toh ek fresh experience mila. Jo sabse alag laga wo ye tha ki ye thoda structured tha aur step-by-step onboarding workflow the, jo pehle mujhe kisi software mein nahi mila tha. Isse initial confusion kam hua aur main jaldi adapt kar paya. Alag baat ye thi ki training content mein thoda depth missing tha, matlab kuch advanced use cases aur practical examples nahi mile, jiske bina main khud se zyada explore karna pada. Dialer aur calling tools use karne mein koi dikkat nahi hui, wo waisa hi behave karte rahe jaisa training mein sikhaaya gaya tha. Database feature bhi kaafi helpful tha, par agar thoda aur explain kiya jata toh aur acha hota. Overall main kaafi khush hoon ki maine try kiya, lekin training mein thoda aur content hona chahiye tha taaki main aur confident feel kar pata.