Training ki samajh tab hi aayi jab main khud seekhna shuru kiya
Main training period me shuruaat me kaafi confused tha aur bahut kuch mujhe khud hi samajhna pada. Wo jo training modules diye they, woh thode generic lage aur har chhota step detail me cover nahi karta tha. Aur kahi baar mujhe laga ki main apni speed se hi software aur dialer features ko seekh raha hoon. Onboarding mein the support se thoda help mili but it wasn’t sufficient throughout. Jab tak main practical use me aaya tabhi mujhe system ka asli use samajh me aaya. Lekin haan, jo database management feature hai, woh kaafi achha bana hai aur use karna asaan tha. Par overall, mujhe laga ki training mein thoda jyada hands-on guidance honi chahiye thi, taki users jyada asaani se onboard ho jayein bina zyada confusion ke. Phir bhi jab main apne hisaab se kaam karna shuru kiya toh abhi ye software mere liye kuch had tak kaam kar raha hai.