Training kaafi slow tha and bohot wait karna pada
Main expect kar raha tha ki training jaldi khatam hogi aur main jaldi se dialer aur database features ko smoothly use kar paunga. Par poora process slow tha jiski wajah se main kaafi waiting mein tha mostly kyunki ek baar jab main training ke pahle part pe tha, mujhe next step ke liye bahut time tak kisi se confirmation nahi mila. Repeat karna bhi pada kai baar wahi cheeze jise mujhe seekhna tha. Payment aur invoicing mein koi problem nahi thi jo thodi relief thi. Mujhe lagta hai agar onboarding fast hota aur repetition kam hoti toh better hota. Aise lagta tha jaise main apna waqt zyada lose kar raha hoon without much progress.