Training ka sabse achha hisa response tha
Jab main training aur onboarding process mein tha, toh mujhe laga ki log kitne responsive hain, yeh cheez sabse alag lagi. Kabhi kabhi queries ke jawab mein thoda wait karna pada, lekin overall communication achhi thi aur main samajh pa raha tha ki kya karna hai. Jo training modules diye gaye the, unme kaafi clarity thi, bas thoda zyada explanatory examples hon toh aur faida hota. Jo onboarding ka pehla din tha, database setup aur dialer ko samajhna thoda challenging laga, par support team se baat kar ke main samjh paaya. Mujhe thoda lagta hai ki onboarding ke dauraan thoda aur pro-active guidance milti toh time bach sakta tha. Lekin phir bhi, response time theek tha aur training material ko follow karna manageable tha. Overall, mujhe yeh lagta hai ki unka system responsive hai aur agar thoda aur hands-on instructions diye jayein, toh experience aur behtar hoga.