Training aur onboarding theek hai
Main pehle bhi kuch remote workflow training kar chuki hoon, toh mujhe pata tha ki basic cheeze kis tarah ki hoti hain. Yeh training aur onboarding jis tarah hua, wo kaafi different tha, thoda zyada structured lag raha tha. Platform par jo software hai, uska use karna bhi relatively easy tha, par kuch steps pe thoda time lag gaya mujhe samajhne mein. Jo dialer aur database features the, wo kaafi sahi lage, lekin mujhe lagta hai ki thoda aur practical example hota toh aur madad milti. Sabse acchi baat thi ki updates apne aap ho jaate rahe bina kisi problem ke. Invoicing aur payment process bhi smooth tha, jo mujhe pehle thoda confusing lagta tha kuch aur platforms par. Overall main kaahungi ki training aur onboarding is baar kafi achha experience tha, shayad next time bhi iska hi istemal karungi.