Training aur onboarding: phir se karungi ya nahi?
Maine WFHI ka training aur onboarding flow complete kiya kuch time pehle, toh ab soch rahi hoon ki agar dobara ya kisi naye project ke liye karna pade toh main kya karungi? Training achhi thi, par kaafi lambi thi, matlab itna time invest karne ke baad bhi kuch points clear nahi hue bina support ke. Database feature aur calling tools samajhne mein zyada din lag jate hain, specially jab practical use mein lana hota hai. Onboarding flow thoda complex tha, jo pehle din se clear nahi tha, isliye mujhe lagta hai main abhi bhi perfect ready nahi thi. Lekin haan, progress toh hui hai aur telephonic support ne madad ki jab zarurat padi, bas thoda dheere se sab hua. Soch rahi hoon ki doosri baar shayad jaldi karne ki koshish karungi ya khud se zyada prepare kar ke start karungi, taki samay kam lage aur frustration na ho. Overall, value thi, but thoda patience chahiye.