Training acha hai par zyada repetition nahi suit karega sabko
Mujhe training overall theek lagi, samajhne ke liye kaafi help mili, par ek problem jo hai wo ye hai ki aap log thoda zyada repeat karte ho kuch steps. Ye jo slow pace tha aur baar-baar same batana kiya gaya, wo un logon ke liye acha hoga jo bilkul naya hain software mein, par jo already kisi remote workflow mein kaam kar rahe hain, unko ye thoda boring lag sakta hai. Waiting time bhi thoda tha jab next session start hota tha, jisse pura flow thoda disrupt ho jata tha. Aapka dialer aur database integration jo sikhaya gaya uska setup samajhna easy tha, aur actual use mein jaakar sahi lagta hai. Mujhe lagta hai training un logon ke liye best hoga jo pehli baar remote workflow me hain, par agar koi experience rakhta hai toh unko ye leisurely pace suit nahi karega. Bas repetition kam kar do toh perfect ho jayega.