Training acchi thi, par thoda aur guidance chahiye tha
Jab main training aur onboarding ke process mein tha, toh saari cheezein itni straightforward nahi thi jitna socha tha. Basic introduction to software achhi thi, par zyada tar functionalities mujhe khud explore karni padi, especially calling tools aur dialer ko effectively use karne ke liye. Mujhe lagta hai agar thorough walkthrough ya detailed documentation mile hota, toh time bach jata aur zyada smoothly start kar pata. Lekin, training ke through basics ke baad jo self learning required thi, usne mera confidence thoda strong kiya practical use mein. Onborading ke dauran, database features aur automatic updates ko samajhne mein bhi time laga, par overall experience positive raha. Mujhe thoda missing laga ki koi step-by-step aid ya example scenarios nahi the, jisse main turant apne remote workflows mein implement kar pata. Agar ye back-up guidance provide karte, toh onboarding aur training ka maza aur badh jata.