toh basically mujhe training zyada clear nahi mili
Jab maine WFHI ke training aur onboarding ko try kiya toh mujhe laga ki explanations thodi unclear thi. Jaise ki main dialer aur calling tools ke baare mein zyada samajh nahi paayi because kaafi information short thi aur detailed walkthrough nahi thi. Onboarding flow mein bhi kuch-2 steps mushkil lag gaye, especially jab database feature set karne ki baari aayi, usmein mujhe lagta hai ki kahin zyada simplification chahiye thi. Support se baat karna thoda help mila par har baar clear guidelines nahi mil paayi. Payment aur invoice ka process theek tha par usse related bhi koi detailed guidance nahi mili. Training sessions mujhe lag raha tha basic level par ruk gaye hain aur mujhe lagta hai ki beginners ke liye zyada time spend karna chahiye explanation mein. Mujhe lagta hai agar training mein thoda clear step-by-step approach hota toh main zyada smoothly kaam kar paati. Samajh hai ki software apne aap mein complex ho sakta hai, par thoda aur help karni chahiye thi.