Thoda unclear laga training ka flow, isliye thoda confuse hoon
Training aur onboarding ke dauran mujhe lage ki jo explanations diye gaye, woh utne clear nahi the jitna chahiye tha. Sab kuch standard instructions the, but jo step-by-step guidance honi chahiye thi, woh nahi mili mujhe. Is wajah se mujhe kaafi baar apne aap hi samajhna pada ki kya karna hai agle step mein. Kuch parts mein software ko samajhne mein time laga, aur training ke materials mein bhi koi extra help nahi thi jo mere confusion door karti. Main ye nahi kahungi ki sabhi cheezein kharab thi, lekin overall experience thoda flat raha and clear instructions kaafi missing thi.