Thoda frustrating laga, par samajh mein bhi aaya
Maine jab WFHI ka training aur onboarding start kiya, toh overall thoda confusing laga. Kya steps follow karne hain samajh nahi aa raha tha kabhi kabhi, especially jab naye features ke bare mein sikha rahe the. Lagta tha ke baar baar same cheezein repeat ho rahi hain, aur training slow slow chal rahi thi. Next time shayad mujhe phir se help leni padegi, kyunki sab kuch itna clear nahi tha ki easily samajh jaoon. Par haan, kuch parts the jo achhe the, jaise ki call dialer ka use aur database integration samjhane wale sessions. Lekin overall jo flow tha, usmein thodi aur clarity honi chahiye thi, warna time waste lagega. Mujhe laga agar system thoda aur straightforward hota, toh stress bhi kam hota, par abhi lagta hai main fir se kisise baat karungi agle onboarding mein agar karna hua toh because sab kuch clear nahi tha mujhe ki aage kya karna hai.