Support steps kuch ajeeb lage but help toh mili thi
Mujhe support team se baat karne ka experience thoda alag laga kyunki unke steps sequence wise thoda confusing tha. Pehle mujhe lagta tha ki main simple query 1 call mein solve kar loongi, par baar-baar redirect kiya gaya kisi aur department ke paas. Jo jo information maangi gayi, woh logically ek sath milni chahiye thi. Lekin jab finally main baat kar payi, toh unhone acchi tarah se problem samjha aur solution diya. Telephonic support mein wait times thode lamba the, par baat karne wala banda polite tha. Kuch solutions manual process mein lene padte hain jo automate ho sakte the, ye thoda time waste hua. Par overall communication sahi thi aur main samajh payi ki kaise software ke features use karungi aage chal kar. Thoda aur streamline karna chahiye yeh sab steps.