Support response me time laga, par paisa vasool nahi lagti
Main WFHI ka support use kar rahi thi aur bataungi ki regular dinon mein communication kaafi time leta tha. Pehli baar to kuch issues the jise samajhne mein unhe bhi der hui, phir baar-baar calls lagane pade tab jaake thoda response mila. Training mein kaha gaya tha ki telephonic support acchi speed se milega, par mujhe lagta hai thoda aur fast hona chahiye tha. Dialer aur database features sahi kaam karti hain, par jab bhi kisi help ke liye call kara toh main wait karti rahi bas. Auto updates bhi kabhi kabhi aise aaye ki system thoda slow ho gaya tha, jisme support team ke saath coordination karna zaruri tha. Jo accha laga wo ye tha ki support staff patiently samjhaati thi chahe time lag jaye. Par overall, jyada time lagne ki wajah se pura experience thoda frustrating raha.