Support lene mein bahut time lag gaya, nahi lagi confidence
Mujhe laga tha ki support system main jitni jaldi contact karungi, problem utni hi jaldi solve ho jayegi, lekin waise nahi hua. Jab first time training ke baad kuch confusion aaya, toh support ko phone kiya, par wait karna pada bahut der tak. Baatein karte karte thoda relief mila par jitni bari baat thi, utni jaldi clear nahi hui. Software aur dialer mein jab koi problem aayi, to har baar support ki taraf se delayed response mila, jis wajah se mera confidence software use karne ke liye kam ho gaya. Database feature ke liye koi achha explanation nahi mila aur automatic updates se bhi confusion badh gaya. Overall support system thoda slow laga aur main feel karti hoon ke agar time pe help milti toh zyada behtar experience hota. Time waste hone ke wajah se main utni confident nahi ban paayi jitni main expect karti thi.