Suitable for those who wanna explore solo, not for regular help chahne wale
Mujhe WFHI ka training aur onboarding process ka experience thoda mixed laga. Setup and entry ke steps clear the aur thoda simple bhi, toh beginners ke liye theek hai. Software ke basic tools jaise dialer aur databaseunki integration kaafi sahi se samjhaaya gaya. Par last week pe jab advance features use karne ki koshish ki toh thoda help ki zarurat mehsoos hui. Mujhe lagta hai ki agar aapko frequent guidance chahiye toh shayad aapko bar bar support team se contact karna padega, jo realistically thoda time consuming hai. Mere liye ye theek raha kyunki main thoda research aur trial karke khud se sab kar leta hoon. Isliye main kahunga ki agar aap apne aap software explore kar sakte ho toh yeh training suit karega, par agar aap hamesha ready help chahte ho toh shayad thoda challenging ho. Overall, experience medium tha, kuch cheezein easily samajh mein aayi, aur kuch ke liye phir bhi dusron ki madad chahiye hoti.