Starting mein thoda time laga par baad mein theek tha
Maine WFHI software purchase kiya toh sales se lekar onboarding tak kaafi time laga. Sign-up ke baad training shuru hui, lekin jab tak database aur dialer fully set up hua, thoda sab process dheere chala. Support ne help ki par wait karna padta tha, isliye jaldi kaam start karna mushkil tha. Overall software features theek thi, par starting mein thoda patience chahiye. Agar sales se lekar set-up tak flow thoda aur fast hota toh main jaldi kaam mein lag sakti thi. Ab tak system samajh mein aane laga hai aur use kar pa rahi hoon, par ye lagta hai ki onboarding process thoda better ho sakta tha. Waisey pura package accha hai par starting phase mein thoda wait karna padta hai.