Socha tha zyada smooth hoga, par training thoda alag tha
Main ne pehle ek aur platform use kiya tha jo thoda zyada detailed aur step-by-step tha, toh jab WFHI ka training module mila toh main thoda confuse hua tha. Starting mein welcome session theek tha, par jab actual software ke features ke baare mein walkthrough shuru hua, toh lag raha tha ke kuch important explanations miss ho gaye hain. Dialer pe kaam karna shuru kiya tab software thoda lag kar dera tha aur database access thoda slow tha. Sign-up process toh sahi tha par actual tools samajhna aur use karna utna straightforward nahi tha jitna main expect karta tha. Support se ek do baar contact kiya, wo theek tha, par onboard karne wali training mein woh clarity nahi mili jo main chah raha tha. Overall, experience thoda average raha, main sochta hoon ke aur improve ho sakta hai yeh sab.