Socha tha zyada smooth hoga, nahi hua
Jab main training start kar rahi thi, tab mujhe laga tha ki sab kuch smoothly chalega, lekin actual mein thoda confusion hua. Onboarding ke dauraan jab koi problem aayi, toh support itna helpful nahi laga. Jo process samjhaaya gaya tha, uske mutaabiq to sab cheeze achhi honi chahiye thi, par kuch cheeze samajh nahi aayi. Dialer aur database ke baare mein training theek thi, par jab technical issue aaya, toh wait karna padha lambi der tak. Mujhe lag raha tha ki training launch ke time pe zyaada seamless hogi, especially jab software ko access karne main thoda time laga. Par main yeh bhi maanoongi ki software interface kaafi clear tha, jiske wajah se thodi mushkil door hui. Overall, main zyada expect kar rahi thi, lekin kuch cheeze theek bhi thi toh not completely disappointing bada struggle tha nahi.