Setup mein ek hi cheez jo sabse alag lagi
Mujhe lagta hai jo cheez sabse zyada alag aur impressive thi wo onboarding process ka ekdum straightforward hona tha. Kayi baar maine dekha ki software setup mein har baar bohot sari continuous training ya bohot regular changes karne padte hain, par yahan sab kuch ek baar hi clear ho gaya. Sign-up process smooth tha, aur ek bar main database aur dialer setup kar liya toh baaki sab automatic updates ke through easily maintain ho jata hai. Matlab, jo ek baar process mein invest karne wale time tha, wo long-term mein continuous hassle reduce karta hai. Shuruaat mein thoda confusion hua tha ke kya features monthly update honge aur kya permanent honge, par wo samajh mein aa gaya support se baat karke. Overall, ek baar setup hone ke baad bahut time aur effort save hota hai, jo mere liye sabse badi winning factor nikla.