Self-help option thoda sa zyada struggle tha
Yaar, mujhe lagta hai main kaafi time khud se cheezein samajhne mein laga di because support team har choti choti baat pe turant available nahi thi. Dialer aur software ka basic use toh training mein cover hua, par jab main kisi specific database function ke baare mein poochna chahti thi, toh mujhe khud hi trial-error karna padta tha. Support ne help ki, par response thoda slow tha kabhi kabhi, toh mujhe patience rakhna pada. Mujhe lagta hai ki training mein thoda aur detail dena chahiye tha about advanced features, toh itna zyada struggle nahi hota. Lekin overall, software chalane mein maza aa raha hai and main apni pace pe work kar rahi hoon.