sales to bas aise hi guzra experience
Jab maine sales se contact kiya tha, toh mujhe laga ki jaldi se sab ready ho jayega, par ye process itna slow tha ki main thak gaya tha baar baar samjhane mein. Training shuru karne se pehle hi kaafi waqt lag gaya ki basic details finalize ho jayein. Dialer setup aur database configuration mein delays hue, aur tax invoicing mein issues aaye. Mujhe laga ki main ye sab bata chuka hu par har baar same questions pooche gaye. Onboarding flow bhi confusing tha, jisse mera interest thoda fade ho gaya. Ek achhi baat thi ki support team phir bhi available thi, par overall sales start hone mein itna waqt lag gaya ki main thak chuka tha jab wo shuru hua.