Sales clear tha and exactly what I expected
Bas waise hi sab mila jo bataaya gaya tha. Sales process mein kuch confusion nahi thi, sab clearly explain hua tha ki software aur training mein kya kya milega aur kaise payment karna hai. Sign-up se leke invoicing tak process straight forward tha, koi chhupa hua clause nahi mila. Sales team ne bhi seedha bata diya ki paid product me assignment ya salary ki guarantee nahi hoti, toh expectations clear thi starting se. Training ke baare mein bhi acha idea mila ki khud karna padega ya kise se madad leni hogi. Dialer aur database features ke baare mein bhi saaf saaf bataya tha ki wo kaise kaam karte hain. Overall, mujhe laga ki jo maine socha tha uske bilkul as paas mila aur extra confusion nahi aaye. Aise services ke liye transparency bahut important hoti hai aur yeh bilkul sahi tha yahan par.