Sale mein kaafi struggle karna pada, response slow tha
Maine pehle socha tha ki sales team se baat karna simple hoga par yaha alag hi experience mila. Jab main product ke baare mein details mangi toh response thoda slow tha, aur kabhi kabhi lagta tha ki unko meri baat samajh nahi aa rahi. Main kaafi baar follow-up kar rahi thi par tab bhi turant reply nahi mil raha tha. Jo information mili thi, vo theek thi par mujhe lagta hai ki thoda zyada clear communication hona chahiye tha. Unka demo toh diya gaya tha, jo thoda helpful tha, lekin sales mein genuinely effort lagana pada. Kabhi Lagta tha ki unke liye priorities dusre customers hain jinki baat zyada urgent hai. Phone par baat karne mein time lag gaya, email par wait karna pada, aur overall process kaafi lamba ho gaya. Office ke samay ke hisaab se to sab kuch thik lagta tha par fir bhi main udeas thi ki agar yeh sab jyada smooth hota toh main jaldi decision le pati. Soch rahi hoon ki training content khud padh kar decide karun, sales process se zyada umeed thodi thi.