3 out of 53 of 5Verified purchaseSupport and communication
sahi order mein steps nahi the par kaam ho gaya
Mainne jab support instructions follow kiya toh dekha ki woh steps proper sequence mein nahi the. Matlab pehle jo karna chahiye tha uske baad jo bataya gaya usmein mismatch tha. Lekin jab mainne unka bata hua sab follow kiya, toh kaam toh ho gaya. Confusion ke bina directly sahi result mila yeh nahi keh sakti. Aise lagta hai ki order par thoda dhyan dena chahiye taki pehli baar mein sab kuch smoothly ho jaye. Support ki taraf se jo bhi guidance thi usmein thoda improvement honi chahiye par bada problem nahi hua.