Sabse clear onboarding wala moment tha
Training ke dauran kaafi cheeze easily samajh aa gayi thi, but jo sabse zyada clear moment tha, woh tha jab mujhe dialer aur database ka use sikhaya gaya. Pehle main thoda confuse thi ki sab steps kaunse order mein karna chahiye, but training mein woh part itna achhi tarah samjhaya gaya ki mujhe laga main next time bina kisi help ke bhi yeh use kar sakti hoon. Baaki onboarding process thoda generic tha, par specific wahi moment jab maine sab tools ko practically explore kiya, kaafi helpful tha. Agar koi next time mera saath kare, toh shayad woh tabhi chahiye jab koi advanced cheez samjhani ho warna main khud se karungi. Overall training experience achha tha aur mujhe lagta hai software use karte karte mujhe aur clarity bhi milegi. Mujhe confident feel hota hai ki agar mujhe phir kabhi help chahiye toh easily mil jayegi.