Skip to main content

WFHI review

Sab kuch samajh mein nahi aaya, shayad beginners ke liye hi acha hai ye

1 out of 51 of 5Verified purchaseSupport and communication

Sab kuch samajh mein nahi aaya, shayad beginners ke liye hi acha hai ye

Ye support waale log jab samjhate hain toh lagta hai ki woh apne hisaab se baatein kar rahe hain, par mere liye kuch cheezein bahut unclear reh gayi. Main baar baar poochta raha ki ye feature kaise chalana hai, par har baar alag alag explanation milti thi, matlab ki clearly kuch fix direction nahi tha. Dialer aur database mein kaise kaam karna hai iska koi sahi demo nahi mila mujhe. Main sochta hoon ki agar kisi beginner ne ye lena hai toh theek hai because thoda basic guidance milti hai, par agar koi thoda advance level ka kaam karna chahta hai toh ye waise suit nahi karega. Mujhe lagta hai ki explanation bhi aise tha ki main confuse ho gaya. Support mein clarity honi chahiye thi, aur jab main baar baar phone karta tha tab bhi wohi unclear baatein repeat hoti thi. Toh mujhe lagta hai agar clear instructions milti toh experience better hota.

Ujjwal GaikwadJammu and Kashmir, IndiaExperience: Published:
About this verification label

Verified purchase

The reviewer's payment for a named WFHI plan was matched to a WFHI record.

Read the review policy