Pura process thoda lamba tha, par sab clear tha
Mujhe lagta hai sign-up aur pre-purchase explain karne me WFHI ne thoda waqt liya tha. Pehle to pricing samajhna aur alag-alag plans ke pros-cons jaan na thoda confusing laga, par jab maine help li to sab achhi tarah clear ho gaya. Training options aur software features bhi acha explain hua, jo mujhe samajhne me help kiya. Jo thoda time zyada laga woh mainly documentation ke liye tha, kyunki mujhe baar-baar details confirm karni padti thi billing aur account setup se related. Dialer aur calling tools ke bare me bhi basic baatein batayi gayi thi, par mujhe lagta hai thoda aur direct explanation better hota. Phir bhi overall experience sahi tha kyunki main har chhoti baat samajh paayi thi, aur support bhi available tha jab zarurat padi thi. Toh thoda waqt lagakar bhi sab clear samajh aaya.