Process mein ek step thoda confusing tha
Maine expect kiya tha ki sign-up ke baad ek clear onboarding process hoga jisme ek ke baad ek step dikhaya jaye. Par jab maine shuru kiya toh sab thoda scatter laga, jaise kuch steps missing ho. Achi baat yeh thi ki sales team mujhe regularly call karti rahi aur milti thi sari info, ye toh sahi tha. Lekin agar sign-up ke baad ek simple aur linear flow hota toh shayad zyada time nahi lagta samajhne mein. Jo documentation ya instructions they, wo thode mixed lage, jisse mera confusion badh gaya. Mere comparison mein, doosre softwares mein yeh cheez zyada clear thi. Yeh system theek chal raha hai, par thoda aur simplicity hona chahiye tha, especially jab naye user ho toh wo easily samajh paye setup kaise karna hai.