Pre-purchase confidence build hone mein laga waqt
Mujhe pehle thoda doubt tha ki sign-up ke baad software achha chalega ya nahi, aur training kitni clear hogi, par end tak main decent level ka confident feel karne lagi thi. Sales process ke dauran mujhe sab information di gayi thi, par kuch cheezein samajhne mein thoda waqt laga, jaise ki database setup aur dialer ki functionality. Shayad yeh process thoda jyada detailed ho sakta tha taaki confusion kam ho. Discussion ke baad mujhe laga ki support aur training mana ke liye ready hai, par uske bawajood thoda sa hesitation tha ki software mera poora kaam without rukawat manage karega ya nahi. Sign-up aur invoicing procedural theekw the, par mujhe lagta hai ki agar introductory calls ya demonstrations aur focused hoti, toh mera decision jaldi aata. Mujhe overall lagta hai ki thoda aur time lag gaya is stage par, par agle steps mein mujhe better samajh aayega.