Onboarding theek tha, par thodi kami rahi
Software aur training dono mila, par mujhe laga tha onboarding ka process thoda zyada easy hoga. Setup ke time pe bahut saare steps ek hi baar complete karne padte hain, jo thoda confusing tha kabhi kabhi. Ongoing training sessions achhe hai, specially jab naye updates aate hain, lekin initial initial samajhna mushkil tha. Mujhe samajh nahi aaya ki kya kya mera responsibility hai setup ki taraf se aur kya software automatically handle karta hai. Support se contact kiya to unhone kaafi patience dikhaya, par availability thodi unclear thi kabhi kabhi. Training materials informative hain lekin mujhe laga ki kuch cheezein jaise dialer integration ya database feature thoda zyada detailed ho sakti thi. Jab main pehla baar software me dala data tha, to thoda effort laga samajhne me ke wo kaise kaam karta hai. Overall, software accha hai aur main use karta rahunga, bas onboarding process mein thodi clarity honi chahiye thi ki one-time setup kitna important hai aur after that kya routine follow karna hota hai.