Onboarding mein lage waqt ke hisaab se confidence aaya ya nahi
Pura onboarding aur training flow complete karne mein mujhe apne hisaab se kaafi waqt laga, shayad zyada hi. Suru mein thoda confusion tha ki kya steps follow karne hai, aur kuch tools jaise dialer aur database ko samajhna bhi itna easy nahi tha. Jab main end tak pohcha toh mujhe laga ki main thoda confident ho gaya hun ki is software ko chalana kaise hai, lekin woh confidence puri tarah se strong nahi tha, kyunki kuch features pe abhi bhi doubts the. Mera conclusion yeh hai ki training kitni bhi achhi ho, agar time assurance saath mein nahi milega toh confidence build karna thoda mushkil rahega. Isliye main ispe 3 star deta hun, kyunki jitna mila tha training mein, uske respect se confidence moderate hi tha.