Onboarding mein kuch missing tha, apne aap samajhna pada
Training aur onboarding ka process theek tha, par kuch cheezein aisi thi jise mujhe khud hi samajhna padha. Software ka basic use clear tha, par dialer se call karne mein thoda confusion hua, especially jab mujhe database link karna tha. Jo automatic updates hote rahe, unka effect m easily samajh nahi aaya, tab mujhe manual check karna pada. Training materials mein thodi chizain miss thi jo agar covered hoti toh zyada madad milti. Billing aur payment ka process bhi thoda complicated laga, mujhe invoices khud dhundhni padi. Support team se contact kiya, par response time kabhi kabhi slow tha, jis wajah se mujhe wait karna pada. Overall, thodi zyada mehnat karni padi onboarding mein, par ab lagta hai software achhi tarah samajh mein aagaya hai.