Maine aid expect ki thi training se magar kuch bhi nahin mila
Training and onboarding me jo maine expect kiya tha woh bilkul bhi nahi mila. Main soch rahi thi ki jab start karungi tab easily malum chal jayega ki kis step mein kya karna hai, par yahan pe pura system thoda confusing tha. Training modules ko dhundhne mein mujhe kaafi time waste hua aur mujhe lag raha tha ki kahi sari cheeze clear aur accessible honi chahiye. Call karne par support thik-thak mila tha, lekin training material ko access karna itna asaan nahi tha. Mujhe laga ki website aur user dashboard mein thoda aur achha navigation hona chahiye jisse naye log jaldi se seekh saken. Overall main disappointed thi kyunki as a beginner mujhe kaafi sari cheeze apne aap figure out karni pad rahi thi, jo ki kaafi frustrating tha.