Kuch cheezein once-off, kuch continuous effort bhi lagta hai
Training aur onboarding mein mujhe yeh laga ki initial setup ke zyada steps ek baar karne hote hain, jaise ki software install karna aur basic settings set karna. Yeh kaafi straightforward tha aur jab maine pehli baar training modules dekhi thi, tab mujhe samajh aaya ke kaunse steps immediate hain aur kaunse cheezein baad mein regularly karni hongi. Lekin ongoing tasks, jaise database update karte rehna ya dialer ko customize karna, wo continuous hain. Mujhe training me cheezein step-by-step dikhayi gayi thi jo easily samajh aayi thi. Overall setup ek baar hota hai par uspe kaam karna regularly hota hai, matlab ki workflow me updates rakhni padti hain. Mujhe yeh balance acha laga, kyunki har cheez ek hi waqt pe nahi hoti. Agar aap consistent practice rakhoge to software sahi se chalana possible hai.