kitna painful laga jab kuch mil hi nahi raha tha
Main jab onboarding ke liye software explore kar raha tha tab mujhe bahut hi frustrating lag raha tha ki jo cheez dhundh raha tha wo easily mil nahi rahi thi. Training ke modules ke Naam kuch clear nahi the aur database ka interface itna complex laga ki main doubt mein raha ki kaha se shuru karu. Call dialer ke features bhi primary lag rahe the, aur mujhe baar baar trial and error karke samajhna pada. Support ko phone karne ki sochi, par unki lines bhi kabhi busy thi kabhi delayed response thi. Basically, first steps thode confusing the, aur mujhe lagta hai ki agar unhone thoda aur acha navigation aur detailed guidance diya hota, toh experience better hota. Main ye nahi kahoonga ki sab kharab tha, training material theek tha lekin easily accessible nahi tha, isliye mera onboarding kaafi slow hua tha.