Kabhi kabhi ajeeb lagta hai, waqt se fit nahi baithta
Training aur onboarding ke dauraan main generally expect karti thi ki schedule flexible hoga mere hours ke hisaab se, par aisa nahi hua. Jo timings diye gaye they, wo mere regular work hours se align nahi karte the. Main kaafi baar late rahi, kyuki session start hone ka time mujhe samajh mein clear nahi hua tha. Ye thoda frustrating tha, kyunki main apna kaam aur learning dono sath me balance karne ki koshish kar rahi thi. Dialer aur other tools thik the, par training ke timing ko leke thoda adjustment chahiye hota. Shukr hai support team ne thoda help kiya, par woh bhi har baar up to mark nahi thi. Overall, training ka content acha tha, lekin timing flexibility nahi hone se problem aayi. Shayad agar time zones ya personal working hours ka zyada dhyaan diya to behtar hota. Training immersive thi, aur main seekhna chahti thi, magar hours ki mismatch ki wajah se mujhe baar baar schedule ko jugad karna pada. Agar aap fixed timing waale lambi training chahte hain to theek hai, par agar flexible hours chahiye to shayad nahi suit karega.