jo process kaafi clear hona chahiye tha, woh missing tha
Main samajh nahi paaya support se baat karke ki mujhe kya karna chahiye tha next. Instructions itne simple nahi the, zyada technical baatein thi jo mujhe confuse kar rahi thi. Dialer setup aur database integration ki baatein plain language mein nahi batayi gayi, jo thoda irritating tha. Mujhe baar baar call karna pada jab tak kuch basic cheeze clear nahi hui. Payment aur invoicing ke steps bhi itne straightforward nahi lage, aisa laga jaise har koi apna style use kar raha hai explain karte waqt. Mujhe laga ki automatic updates ki clarity bhi honi chahiye thi ki kab aur kaise follow-up karna hai agar kuch galt hota hai. Overall jitna clear support chaiye tha, woh nahi mila. Shayad customer service mein aur training improve ki jaye toh thoda better ho sake. Yeh experience keval thoda achha tha, par main nahi kahunga ki main klir hua hoon ki kab aur kya karna hai. Mujhe laga kuch zaroori details mujhe miss hui hain.