Jo log thoda samajhdar hain, unke liye theek hai
Sales process mein steps thode ajeeb lage, matlab pahle software demo diya gaya, jo achha tha, par fir training sessions itne smoothly connected nahi the. Pehle sign-up karna tha, phir onboarding, ye thoda confuse karne wala tha ki kab kya hoga. Jo log naye hain software use karne mein, unke liye thoda difficult ho sakta hai samajhna. Lekin agar aap thoda patient hain aur training material ko dhyaan se follow karein, to ye kaam ho jata hai. Mujhe laga ki process thoda aur organized hona chahiye tha, kyunki kabhi kabhi lagta tha ki ek cheez complete karne ke baad bhi next step unclear hai. To basically, jo log thoda tech savvy hain ya phir self-starters hain, unke liye ye theek approach hoga, baaki sab ke liye thoda challenging ho sakta hai.